Do GhaDi Sae Mein Jalne Ki Aziyyat Aur Hai
do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai
raste mein ek diwar-e-sharafat aur hai
ab bahut duri nahin wadon ki manzil aa chali
do qadam bas moD tak chalne ki zahmat aur hai
damanon par DhunDhiye ab kyun charaghon ka lahu
hum na kahte the hawa-KHwahon ki niyyat aur hai
phir basarat ka taaqub phir ujale ka safar
Dhal chuki hai raat pal do pal ki mohlat aur hai
ghar se KHud nikle the KHemon se nikalwae gae
wo pashemani alag thi ye nadamat aur hai
subh-e-ishrat ko shab-e-gham ke tanazur mein na dekh
wo qayamat dusri thi ye qayamat aur hai
zaKHm-zaron se to sab nashtar-kade nazdik the
chaarasazo kya hua kitni masafat aur hai
(840) Peoples Rate This