Sarhad-e-jalwa Se Jo Aage Nikal Jaegi
sarhad-e-jalwa se jo aage nikal jaegi
wo nazar jurm-rasai ki saza paegi
chashm-e-saqi na kahin apna bharam kho baiThe
aur kab tak ye meri pyas ko bahlaegi
jo nazar guzri hai tapte hue nazzaron se
kya tasawwur ki ghani chhanw mein so jaegi
kyun rahen shahr bhi faizan-e-junun se mahrum
aql diwanon pe patthar hi to barsaegi
hai KHizan mausam-e-afsurda-nigahi ka nam
bujh gaya shauq to har shaKH jhulas jaegi
(972) Peoples Rate This