Naddi Naddi Ran PaDte Hain Jab Se Naw Utari Hai
naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai
tufanon ke kas-bal dekhe ab mallah ki bari hai
nind ragon mein dauD rahi hai por por bedari hai
jism bahut hassas hai lekin dil jazbaat se aari hai
aawazon ke paikar zaKHmi lafzon ke but lahuluhan
karte hain izhaar-e-tafannun kahte hain fankari hai
manzil manzil panw jama kar hum bhi chale the ham-safaro
ukhDi ukhDi chaal ka bais rah ki na-hamwari hai
aankh thakan ne kholi hai ya azm-e-safar ne karwaT li
par phaila kar baiThoge ya uDne ki tayyari hai
sach kahte ho niw mein is ki TeDhi koi inT nahin
aaDi-tirchhi chhat ka bais ghar ki kaj-diwari hai
kya kahiye kyun aaj saron se zaKHmon ka bojh uTh na saka
patthar the lekin halke the phul hai lekin bhaari hai
basti basti qarya qarya koson aangan hai na munDer
zehn KHaraba dil virana ghar aasab pe tari hai
ek diya aur itna raushan jaise dahakta suraj ho
kahne wale sach kahte hain raat bahut andhiyari hai
(891) Peoples Rate This