Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai
lahu ne kya tere KHanjar ko dilkashi di hai
ki hum ne zaKHm bhi khae hain dad bhi di hai
libas chhin liya hai barahnagi di hai
magar mazaq to dekho ki aankh bhi di hai
hamari baat pe kis ko yaqin aaega
KHizan mein hum ne bashaarat bahaar ki di hai
dhara hi kya tha tere shahr-e-be-zamir ke pas
mere shuur ne KHairaat-e-agahi di hai
hayat tujh ko KHuda aur sar-buland kare
teri baqa ke liye hum ne zindagi di hai
kahan thi pahle ye bazar-e-sang ki raunaq
sar-e-shikasta ne kaisi hamahami di hai
charagh hun meri kirnon ka qarz hai sab par
ba-qadr-e-zarf nazar sab ko raushni di hai
chali na phir kisi mazlum ke gale pe chhuri
hamari maut ne kitnon ko zindagi di hai
tere nisab mein daKHil thi aastan-bosi
mere zamir ne talim-e-sarkashi di hai
kaTegi umr safar jada-e-afrini mein
teri talash ne taufiq-e-gumrahi di hai
hazar dida-tasawwur hazar rang-e-nazar
hawas ne husn ko bisyar chehragi di hai
(1118) Peoples Rate This