KHwabon Ke Sanam-KHane Jab Dhae Gae Honge
KHwabon ke sanam-KHane jab Dhae gae honge
us daur ke sab aazar bulwae gae honge
tu bhi na bachi hogi ai aafiyat-andeshi
har samt se jab patthar barsae gae honge
phir us ne masail ka hal DhunD liya hoga
phir log masail mein uljhae gae honge
hum guzre ki tum guzre ye dekhne kaun aata
the jitne tamashai sab lae gae honge
yaran-e-qadah se kuchh laghzish bhi hui hogi
danista bhi kuchh saghar chhalkae gae honge
'afzal' ka muqaddar hai haq-goi-o-ruswai
sach baat kahi hogi jhuTlae gae honge
(862) Peoples Rate This