Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se
jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se
hai abhi dur bahut zabt ki manzil tum se
hum to dariya mein bahut dur nikal aae hain
lauT jao abhi nazdik hai sahil tum se
justuju sarhad-e-idrak se aage na baDhi
do-qadam tai na hua mahala-e-dil tum se
KHalwat-e-shauq ke dar band kiye leta hun
ab shikayat na karegi koi mahfil tum se
saKHt-jaani meri aasuda-e-KHanjar to na thi
kyun nikala gaya hausla-e-dil tum se
tum to naghmon ki fasilon pe bahut nazan the
kyun dabaya na gaya shor-e-salasil tum se
dhaDkanon ko nazar-andaz kiye jate ho
phir na kahna ki muKHatab na hua dil tum se
(960) Peoples Rate This