Har Ek Gam Pe Aasudgi KhaDi Hogi
har ek gam pe aasudgi khaDi hogi
safar ki aaKHiri manzil bahut kaDi hogi
ye apne KHun ki lahron mein Dubti kashti
bhanwar se bhag ke sahil pe ja paDi hogi
musafiro ye KHalish nok-e-KHar ki to nahin
zarur panw tale koi pankhuDi hogi
tere KHulus-e-tahaffuz mein shak nahin lekin
hawa mein ret ki diwar gir paDi hogi
nizam-e-qaid-e-musalsal mein kaisi aazadi
khule jo panw to hathon mein hathkaDi hogi
tere farar ki sarhad qarib thi lekin
meri talash zara dur ja paDi hogi
tumhaare daur-e-musalsal ki munzabit tariKH
hamare raqs-e-musalsal ki ek kaDi hogi
mere guman ki buniyaad khokhli nikli
tere yaqin ki imarat kahan khaDi hogi
(979) Peoples Rate This