Dilon Ke Beach Badan Ki Fasil UTha Di Jae
dilon ke beach badan ki fasil uTha di jae
simaT rahi hai masafat zara baDha di jae
hamari samt kabhi zahmat-e-safar to karo
tumhaari rah mein bhi kahkashan bichha di jae
bani to hogi kahin sarhad-e-garan-goshi
tumhin batao kahan se tumhein sada di jae
kisi ke kaam to aae KHulus ki KHushbu
mizaj mein na sahi jism mein basa di jae
ye sochte nahin kyun fasle tawil hue
ye puchhte hain ki raftar kyun baDha di jae
ye mahwiyat na kahin tujh se pher de sab ko
teri taraf se tawajjoh zara haTa di jae
takallufat ki pur-pech wadiyan kab tak
ba-rah-e-rast unhen dawat-e-wafa di jae
suni hain hum ne bahut tirgi pe taqriren
mile na lafz agar raushni bujha di jae
guzarne wali hawa KHud pata laga legi
zara si aag kisi rakh mein daba di jae
(985) Peoples Rate This