Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya
dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya
mujh ko manzil pe bhi zalim ne Thaharne na diya
raqs karti rahi tufan mein kashti meri
meri himmat ne mujhe par utarne na diya
zindagi maut se bad-tar thi par ai wada-e-dost
lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya
multafit kal nazar aati thin nigahen un ki
kahin dhoka to mujhe meri nazar ne na diya
yun to rahne ko pareshani-e-KHatir hi rahi
teri zulfon ko magar main ne bikharne na diya
phul to phul the ai KHana-bar-andaz-e-chaman
tu ne kanTon se bhi daman mujhe bharne na diya
inhin alfaz mein hai meri kahani 'afzal'
gham ne jine na diya shauq ne marne na diya
(1006) Peoples Rate This