Yaad
yaad ek be-rang be-mahak
murjhaya hua gulab
jis ke kanTon ki chubhan
baqi rahti hai sada
yaad-e-mazi ki banai hui
ek dhundli taswir
mel nahin khata jis se haal ka chehra
phir bhi lagi hai dil ki diwar par
yaad TuTa-phuTa ek aisa khilauna
jis se insan dil bahlana chahe
be-kar hone ke bawajud
use phenkna nahin chahe
yaad ek sarab
zist ke registan mein
jo aur bhi baDha de
thake haare musafir ki pyas
(1543) Peoples Rate This