Zist Mein Gham Hain Ham-safar Phir Bhi
zist mein gham hain ham-safar phir bhi
ta-ajal karna hai basar phir bhi
TuTi-phuTi hun chahe diwaren
apna ghar to hai apna ghar phir bhi
chahe inkar hum karen sach ka
howe hai zehn par asar phir bhi
dil machalta hai un se milne ko
hum churaate rahe nazar phir bhi
hai yaqin tum hamein na bhuloge
ek zamana gaya guzar phir bhi
hain ye alfaz dil lubhane ke
kash shayad yunhi magar phir bhi
(860) Peoples Rate This