Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha
jag mein aata hai har bashar tanha
lauT jata hai phir kidhar tanha
kuchh dua bhi to ho mariz ke nam
kab dawa ka hua asar tanha
muddaton KHud ko hi tarasha hai
sip mein rah ke ek guhar tanha
umr-bhar sab ke kaam aaya jo
ro paDa KHud ko dekh kar tanha
sab masarrat mein sath dete hain
gham uThaenge hum magar tanha
tark ulfat jo us ne ki hum se
thamte hum rahe jigar tanha
chhanw mein baiTh kar gae hain sabhi
rah gaya phir se ek shajar tanha
kahkashan bhi hai aur tare bhi
chand aata hai kyun nazar tanha
yaadon ke karwan mile hum se
KHud ko samjhe the hum jidhar tanha
chaar pal wasl ke jo bit gae
KHud ko paya hai kis qadar tanha
beach apnon ke rah ke bhi 'mona'
zindagi hum ne ki basar tanha
(1013) Peoples Rate This