Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9d0ae3e092f4b111839ed9a886c8de74, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka - Elizabeth Kurian Mona Poetry In English - Darsaal

Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka

hai nahin koi naKHuda dil ka

dil hi hai ek aasra dil ka

chaar-su be-KHudi mein phirta hai

kuchh Thikana nahin raha dil ka

rasm-e-duniya ko kyun ye manega

hai alag jag se qaeda dil ka

sheKH-o-panDit ko koi samjhae

rab se rahta hai rabta dil ka

rah-e-insaniyat hi awwal hai

hai yaqinan ye falsafa dil ka

do-jahan bhi yahan sama jaen

kitna phaila hai daera dil ka

lab talak aa ke baat hi badli

kya kare lafz tarjuma dil ka

aql kab aaegi tumhein 'mona'

mante kyun ho tum kaha dil ka

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka In English By Famous Poet Elizabeth Kurian Mona. Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka is written by Elizabeth Kurian Mona. Read famous Poem Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka for youth and Student by Elizabeth Kurian Mona. Free Download Hai Nahin Koi NaKHuda Dil Ka in PDF.