Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut
Dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut
raat tarik sahi ek sitara hai bahut
dard uThta hai jigar mein kisi tufan ki tarah
tab teri yaadon ke daman ka kinara hai bahut
zulm jis ne kiye wo shaKHs bana hai munsif
zulm par zulm ne mazlum ko mara hai bahut
rah dushwar hai pag pag pe hain kanTe lekin
rah-rau ke liye manzil ka ishaara hai bahut
us ko pane ki tamanna hi rahi jiwan bhar
dur se hum ne masarrat ko nihaara hai bahut
fasle baDhte gae umr bhi Dhalti hi gai
wasl ka KHwab liye waqt guzara hai bahut
honT KHamosh the ek aah bhi hum bhar na sake
barha dil ne magar tum ko pukara hai bahut
jhuTi tarif se lagta hai bahut Dar 'mona'
miThi baaton ne hi shishe mein utara hai bahut
(1156) Peoples Rate This