Daman Tera Mujhse ChhuTa Milne Ke Haalat Nahin
daman tera mujh se chhuTa milne ke haalat nahin
lekin tujh ko bhul sakun main aisi bhi to baat nahin
badle badle se lagte hain aaj ye tere tewar kyun
pahle jaise kyun ab tere pyar ke wo jazbaat nahin
mere hath ki sari lakiren uljhi uljhi lakh sahi
un mein mujh ko tu mil jae hogi meri mat nahin
tum se bichhDe arsa bita phir bhi aks hai aankhon mein
aae na ho tum KHwabon mein jo aisi koi raat nahin
KHush-qismat hain log wo jin ko pyar ke badle pyar mila
is duniya mein har insan ko hasil ye saughat nahin
jate jate gham ki daulat tum ne bhar di jholi mein
ab ye zist ka sarmaya hai mamuli KHairaat nahin
dard-bhari hai yaad-e-mazi phir bhi bas ji lete hain
hum ne jaana har manDap mein aati hai baraat nahin
chahe bahaar ka mausam ho ya wasl ka koi aalam ho
bit gae jo phir se wapas aate wo lamhat nahin
jab jab tum yaad aae 'mona' bhar aain meri aankhen
aag lagae dil mein aansu ye koi barsat nahin
(1283) Peoples Rate This