KHun-e-nahaq Thi Faqat Duniya-e-ab-o-gil Ki Baat
KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat
ye hai mahshar kyun yahan ho daman-e-qatil ki baat
aaj kyun ashkon mein hai aks-e-tabassum jalwa-gar
aa gai kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat
har nazar rangini-e-ruKH tak pahunch kar rah gai
phul ab kis se kahen gulshan mein zaKHm-e-dil ki baat
dekhte hi rah gae qanun-e-qudrat ahl-e-zabt
le uDi KHakistar-e-parwana jab mahfil ki baat
naKHuda hum aur tufan se karen fikr-e-farar
hum kabhi karte nahin sahil pe bhi sahil ki baat
ho na jae phir shuur-e-karwan nazr-e-fareb
chheD di hai rahbar ne aaj phir manzil ki baat
koi apna hai na koi hamdam-o-dard-ashna
ai KHuda kis se kahe 'ejaz' apne dil ki baat
(1072) Peoples Rate This