Kahan Sabaat-e-gham-e-dil Kahan Sarab-e-sukun
kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun
wo KHush-nasib hai mil jae jis ko soz-e-darun
KHud aap dekh len kya haal dil zaban se kahun
abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-KHun
ye shahr-e-ham-nafasan kitni bar ujDa hai
kabhi na ho saka lekin sar-e-hayat nigun
abhi to maslahat-e-waqt hi pe nazan hai
abhi KHirad ko mayassar kahan maqam-e-junun
nigah nichi kiye munfail se baiThe hain
ab un se shikwa-e-bedad kis zaban se karun
nikhaar aa hi gaya KHushk KHushk chehron par
mila to girya-e-shabnam se kuchh gulon ko sukun
dar-asl hai meri hasti ki kaenat 'ejaz'
wo ek nigah jise zindagi ka raaz kahun
(1022) Peoples Rate This