Zarron Ka Mehr-o-mah Se Yarana Chahiye
zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye
be-nuriyon ko nur se chamkana chahiye
KHwabon ki naw aur samundar ka madd-o-jazr
Takra ke pash pash use ho jaana chahiye
nishtar-zani to shewa-e-arbab-e-fan nahin
in dil-jalon ko baat ye samjhana chahiye
ho raqs zindagi ke jahannam ke ird-gard
parwana ban ke kis liye jal jaana chahiye
khoden pahaD aur baramad ho sirf ghas
misron ko is qadar bhi na uljhana chahiye
fankar aur fan ke taqazon se na-balad
ehsas-e-kamtari hai to laD jaana chahiye
nam-e-husain le ke haqaeq se ru-kashi
aison ko qabl-e-maut hi mar jaana chahiye
(1305) Peoples Rate This