Nur Ki Kiran Us Se KHud Nikalti Rahti Hai

nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai

waqt kaTta rahta hai raat Dhalti rahti hai

aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka

kuchh bigaDti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai

zehn ubhaarta hai naqsh haal o mazi ke

in dinon tabiat kuchh yun bahalti rahti hai

tah-nashin maujen to pur-sukun rahti hain

aur sath-e-dariya ki mauj uchhalti rahti hai

chahe apne gham ki ho ya gham-e-zamana ki

baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai

zindagi hai nam us ka tazgi hai kaam us ka

ek mauj-e-KHun dil se jo ubalti rahti hai

kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi

wo jo jam-e-saqi se roz Dhalti rahti hai

aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi

is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai

hoti hai wo sheron mein munakis kabhi 'ejaz'

muddaton ghuTan si jo dil mein palti rahti hai

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nur Ki Kiran Us Se KHud Nikalti Rahti Hai In English By Famous Poet Ejaz Siddiqi. Nur Ki Kiran Us Se KHud Nikalti Rahti Hai is written by Ejaz Siddiqi. Read famous Poem Nur Ki Kiran Us Se KHud Nikalti Rahti Hai for youth and Student by Ejaz Siddiqi. Free Download Nur Ki Kiran Us Se KHud Nikalti Rahti Hai in PDF.