Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai
na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai
na-rawa bhi kisi mauqe pe rawa lagta hai
yun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangi
bawajud is ke har ek rang juda lagta hai
kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin
mujhe KHud bhi nahin malum wo kya lagta hai
is ki baaton mein hain andaz ghalat samton ke
ho na ho ye to koi rah-numa lagta hai
na haTa is ko mere jism se ai jaan-e-hayat
hath tera mere zaKHmon ko dawa lagta hai
dur se KHud meri surat mujhe lagti hai bhali
jaane kyun pas se har shaKHs bura lagta hai
rokta hun to ye rukta hi nahin hai 'ejaz'
mujhe har roz-o-shab-e-waqt hawa lagta hai
(805) Peoples Rate This