Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai
duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai
ek mohr-e-KHamoshi hai ki honTon pe lagi hai
kuchh aur ziyaada asar-e-tishna-labi hai
jab se teri aankhon se chhalakti hui pi hai
is jabr ka ai ahl-e-jahan nam koi hai
kulfat mein bhi aaram hai gham mein bhi KHushi hai
arbab-e-chaman apni bahaaron se ye puchhen
daman-e-gul-o-ghuncha mein kyun aag lagi hai
ai ham-safaro DhunDh lo aasani-e-manzil
apna to ye dil KHugar-e-mushkil-talabi hai
ai mauja-e-tufan tera dil koi bhi toDe
sahil ne safine ko ek aawaz to di hai
(680) Peoples Rate This