Sae Mein Aablon Ki Jalan Aur BaDh Gai
sae mein aablon ki jalan aur baDh gai
thak kar jo baiThe hum to thakan aur baDh gai
kal is qadar tha habs hamare makan mein
sanki hawa zara to ghuTan aur baDh gai
kanTon ki guftugu se KHalish dil mein kam na thi
phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai
ye baghban hamare lahu ka kamal hai
nairangi-e-bahaar-e-chaman aur baDh gai
ye hijr ki hai aag mizaj us ka aur hai
ashkon se shoalagi-e-badan aur baDh gai
sairab kar saka na use mera KHun bhi
kuchh tishnagi-e-dar-o-rasan aur baDh gai
harf-e-sipas pesh kiya jab bhi wo mila
lekin jabin pe us ki shikan aur baDh gai
tahrir ki jo ek ghazal us ke nam par
'ejaz' aabru-e-suKHan aur baDh gai
(1724) Peoples Rate This