Naqsh-bar-ab Ho Gaya Hun Main
naqsh-bar-ab ho gaya hun main
kitna kamyab ho gaya hun main
jhurriyan kah rahi hain chehre ki
KHushk talab ho gaya hun main
kya karunga main ab KHushi le kar
gham se sairab ho gaya hun main
yaad rakhta nahin mujhe koi
arsa-e-KHwab ho gaya hun main
is qadar bar-e-gham uThaya hai
jhuk ke mehrab ho gaya hun main
ek masiha ki mehrbani se
jam-e-zahrab ho gaya hun main
KHushk aansu hue hain jis din se
dasht-e-be-ab ho gaya hun main
hai ye ehsan jabr-e-duniya ka
saKHt aasab ho gaya hun main
us ne jis din se chhu liya mujh ko
rashk-e-mahtab ho gaya hun main
KHud hi 'ejaz' apna dushman hun
sirf ahbab ho gaya hun main
(1064) Peoples Rate This