Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a21f735f2b33621ad7d15d27d3ba21de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
MiT Gaya Gham Tere Takallum Se - Ejaz Rahmani Poetry In English - Darsaal

MiT Gaya Gham Tere Takallum Se

miT gaya gham tere takallum se

lab hue aashna tabassum se

kis ke naqsh-e-qadam hain rahon mein

jagmagate hain mah-o-anjum se

hai zamana baDa zamana-shanas

kabhi mujh se gila kabhi tum se

naKHuda bhi mila to aisa mila

aashna jo nahin talatum se

us ne aa kar mizaj puchh liya

hum to baiThe hue the gum-sum se

naKHuda ne Dubo diya un ko

wo ki jo bach gae talatum se

zindagi hadson ki zad mein hai

koi kaise bache tasadum se

saya-e-gul mein baiThne walo

guftugu hogi dar par tum se

main ghazal ka asir hun 'ejaz'

sher paDhta hun main tarannum se

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiT Gaya Gham Tere Takallum Se In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. MiT Gaya Gham Tere Takallum Se is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem MiT Gaya Gham Tere Takallum Se for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download MiT Gaya Gham Tere Takallum Se in PDF.