Hawa Ke Waste Ek Kaam ChhoD Aaya Hun
hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun
diya jala ke sar-e-sham chhoD aaya hun
kabhi nasib ho fursat to us ko paDh lena
wo ek KHat jo tere nam chhoD aaya hun
hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai
main apne ghar ke dar-o-baam chhoD aaya hun
koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi
main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhoD aaya hun
abhi to aur bahut us pe tabsire honge
main guftugu mein jo ibham chhoD aaya hun
ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki
paron ke rang tah-e-dam chhoD aaya hun
wahan se ek qadam bhi na ja saki aage
jahan pe gardish-e-ayyam chhoD aaya hun
mujhe jo DhunDhna chahe wo DhunDh le 'ejaz'
ki ab main kucha-e-gum-nam chhoD aaya hun
(1346) Peoples Rate This