Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c8a92c5916d337bb2562239adf50ac33, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai - Ejaz Rahmani Poetry In English - Darsaal

Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai

hansi labon pe sajae udas rahta hai

ye kaun hai jo mere ghar ke pas rahta hai

ye aur baat ki milta nahin koi us se

magar wo shaKHs sarapa sipas rahta hai

jahan pe Dub gaya meri aas ka suraj

usi jagah wo sitara-shanas rahta hai

guzar raha hun main sauda-garon ki basti se

badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai

likhi hai kis ne ye tahrir reg-e-sahil par

bahut dinon se samundar udas rahta hai

main wahshaton ke safar mein bhi hun kahan tanha

yahi guman hai koi aas-pas rahta hai

main guftugu ke har andaz ko samajhta hun

ki meri zat mein lahja-shanas rahta hai

wo faslon mein bhi rakhta hai rang qurbat ke

nazar se dur sahi dil ke pas rahta hai

jab un se guftugu karta hai koi bhi 'ejaz'

ek iltimas pas-e-iltimas rahta hai

(1975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai in PDF.