Ab Karb Ke Tufan Se Guzarna Hi PaDega
ab karb ke tufan se guzarna hi paDega
suraj ko samundar mein utarna hi paDega
fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate
KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega
paDti hai to paD jae shikan us ki jabin par
sachchai ka izhaar to karna hi paDega
har shaKHs ko aaenge nazar rang sahar ke
KHurshid ki kirnon ko bikharna hi paDega
main soch raha hun ye sar-e-shahr-e-nigaran
ye us ki gali hai to Thaharna hi paDega
ab shana-e-tadbir hai hathon mein hamare
haalat ki zulfon ko sanwarna hi paDega
ek umr se be-nur hai ye mahfil-e-hasti
'ejaz' koi rang to bharna hi paDega
(1100) Peoples Rate This