Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5c09d1b1a1c404dbbb5ca33ed4c18f3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin - Ejaz Obaid Poetry In English - Darsaal

Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin

tha wo jangal ki nagar yaad nahin

kya thi wo rahguzar yaad nahin

ye KHayal aata hai main KHush tha bahut

kis taraf tha mera ghar yaad nahin

kya thi wo shakl pe bholi thi bahut

pyara sa nam tha par yaad nahin

zaKHmon ke phul hain dil mein ab bhi

kis ne baKHshe the magar yaad nahin

ek ghani chhanw mein din bita hai

shab kahan ki thi basar yaad nahin

ek lamha to dhaDakta hai zarur

kai sadiyon ka safar yaad nahin

taq the dastan kahne mein 'obaid'

ab ba-juz dida-e-tar yaad nahin

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Tha Wo Jangal Ki Nagar Yaad Nahin in PDF.