Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_707678ecd3d8bde6f47d288a20068f06, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera - Ejaz Obaid Poetry In English - Darsaal

Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera

jo ja chuke hain ghaaliban utren kabhi zina tera

ai kahkashan ai kahkashan raushan rahe rasta tera

KHun-naba-e-dil ki kashid aaKHir ko tere dam se hai

kahne ko mera mai-kada lekin hai mai-KHana tera

pal-bhar mein baadal chha gae aur KHub barsaten huin

kal chaudhwin ki raat mein kuchh yun KHayal aaya tera

ai zindagi ai zindagi kuchh raushni kuchh raushni

chala raha tha shahr mein muddat se diwana tera

ab gayakon mein nam hai warna jo apne git the

sare dil ke zaKHm the dar-asl ehsan tha tera

ghazlen meri tere liye yaaden teri mere liye

ye ishq hai punji meri ye sher sarmaya tera

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Jo Ja Chuke Hain Ghaaliban Utren Kabhi Zina Tera in PDF.