Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi
hansne mein rone ki aadat kabhi aisi to na thi
teri shoKHi gham-e-furqat kabhi aisi to na thi
ashk aa jaen to palkon pe biThaunga unhen
qatra-e-KHun teri izzat kabhi aisi to na thi
kisht-e-gham aur bhi lahrane lagi hansne lagi
chashm-e-nam teri shararat kabhi aisi to na thi
kitne gham bhul gaya shukriya tera gham-e-yar
yun mujhe teri zarurat kabhi aisi to na thi
wo mujassam bhi jo aa jae to dekhun na use
meri us but ki ibaadat kabhi aisi to na thi
der tak baiThe pa kuchh tu ne na main ne hi kaha
jaisi tujh se hai rifaqat kabhi aisi to na thi
ek ek sher se Tapke hain lahu ke qatre
meri dushman ye tabiat kabhi aisi to na thi
(1012) Peoples Rate This