Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4590d144bdb7d874020ecd1ce94ef197, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha - Ejaz Obaid Poetry In English - Darsaal

Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha

gale lag kar mere wo jaane hansta tha ki rota tha

na khul kar dhup phaili thi na baadal khul ke barsa tha

kabhi dil bhi nahin ek zaKHm aankhon ki jagah aansu

kabhi main bhi na tha bas Diary mein sher likkha tha

wo har pal sath hai mere kahan tak us ko main dekhun

gae wo din ki us ke nam par bhi dil dhaDakta tha

yahan har kashti-e-jaan par kai manjhi muqarrar the

udhar sazish thi pani ki idhar qaziya hawa ka tha

chhupa kar le gaya apne dukhon ko sari duniya se

laga tha yun to hum tum sa wo jadugar bala ka tha

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Gale Lag Kar Mere Wo Jaane Hansta Tha Ki Rota Tha in PDF.