Dusron Ki Aankh Le Kar Bhi Pashemani Hui
dusron ki aankh le kar bhi pashemani hui
ab bhi ye duniya hamein lagti hai pahchani hui
ashk ki be-rang kheti muddaton mein lahlahai
pahle kitna qaht tha ab kuchh farawani hui
KHud ko hum pahchan pae ye bahut achchha hua
jism ke haijaan mein ruhon ki uryani hui
main to ek KHushbu ka jhonka tere daman ka hi tha
bu-e-gul se aa mila kyun tujh ko hairani hui
us ka bazar-e-hawas mein qadar-dan hi kaun tha
jins-e-dil ki phir yahan kyun itni arzani hui
(778) Peoples Rate This