Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd90b69ef9a9c8a39138eda728f4d560, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe - Ejaz Obaid Poetry In English - Darsaal

Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe

dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe

tera shikar hun achchhi tarah se jaan mujhe

hawa ne ret ki surat zamin pe likh di hai

dikhai deti hai patthar ki dastan mujhe

ek aasman ne zamin par gira diya lekin

zamin ne phir se bana Dala aasman mujhe

main is hawa ka nahin paniyon ka qaidi hun

na jaane kyun liye phirta hai baadban mujhe

zamin se sirf jazira dikhai deta hai

koi na jaan saka aaj tak chaTan mujhe

na jaane tir ki manind kaise chubhne laga

wo shaKHs lagta tha TuTi hui kaman mujhe

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe in PDF.