Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd2602acc39b5f25c7a2582e55edfe80, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din - Ejaz Obaid Poetry In English - Darsaal

Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din

dhund ka aankhon par hoga parda ek din

ho jaenge hum sab be-chehra ek din

jis muTThi mein phul hai us ko band rakho

khil kar ye jugnu ban jaega ek din

aankhen mal mal kar dekhenge KHwab hai kya

aise rang dikhaegi duniya ek din

chand-sitare kahin Duboe jaenge

KHushbu par lag jaega pahra ek din

ho jaenge KHatm KHazane ashkon ke

yun niklega apna diwala ek din

us ke pas uga do koi aur daraKHt

peD ye ho jaega hariyala ek din

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Dhund Ka Aankhon Par Hoga Parda Ek Din in PDF.