Nishan-e-zindagi
kis ne khinchi hain lakiren mere darwaze par
kaun hai jo ki dabe panw chala aaya hai
mere be-rang hayule ka taaqub karta
main to mohtat tha aisa kahin aate jate
apne sae ko bhi patal mein chhoD aata tha
apna saman uThata to shab-e-nisf-pahar
dast-e-hushyar miTata mere qadmon ka suragh
jism har sans ki aawaz muqaffal rakhta
KHak hi KHak ki KHushbu ka tadaruk karti
jaanta tha nahin mahfuz Thikana mera
log maujud hain jo mujh pe nazar rakhte hain
dur nazdik nihan-KHanon ke andar baiThe
ek harakat ho to sau aks bana lete hain
un ki aankhon mein khaTakta hai zar-o-mal mera
tarz-e-tamir meri mimbar-o-mehrab mere
un ke ahdaf hain diwar-o-dar-o-bab mere
aur ek gauhar-e-nayab ki tah-KHane mein
hawas-e-dil ko hai asbab pareshani ka
meri diwangi o wahshat o hairani par
mujh pe mamur kuhan-sal sagan-e-KHufta
kal kisi saat-e-kamzor ki tariki mein
is kamin-gah mein suraKH se dar aae the
dur dalan ke kone mein khaDe hanste hain
(848) Peoples Rate This