Dushmanon Ke Darmiyan Sulh
barg-e-awara-sada aae hain
koi aawaza-e-pa lae hain
tere paigham-rasan hain shayad
aur paiman-e-wafa lae hain
guftugu narm hai lahja dhima
ab ke andaz juda lae hain
ek nadamat bhi hai pachhtawa bhi
KHiffar-e-jurm-o-jafa lae hain
aankh mein ashk pashemani ke
honT par harf-e-dua lae hain
sare saman rafugari ke
jeb o daman mein uTha lae hain
marham-e-zaKHm ke ambar ke sath
para-e-KHak-e-shifa lae hain
shaKH-e-zaitun bhi ammame bhi hain
aur abaen bhi sila lae hain
hajr-e-aswad ne chhua hai jis ko
ek aisi bhi rida lae hain
kuchh madine ki khujuron ke tabaq
kasa-e-sar pe saja lae hain
ek mashkiza-e-ab-e-zamzam
pusht-e-nazuk pe uTha lae hain
agle pichhle sabhi maqtulon ka
goya ki KHun-baha lae hain
(1030) Peoples Rate This