Ye Ghumta Hua Aaina Apna Thahra Ke
ye ghumta hua aaina apna Thahra ke
zara dikha mera rafta tu charKH palTa ke
hai kaenat muamma juda tariqe ka
faqat sulajhta hai aapas mein girhen uljha ke
natija ek sa nikla dimagh aur dil ka
ki donon haar gae imtihan mein duniya ke
musafiron se raha hai wo rasta aabaad
palaT ke aae nahin jis se pesh-rau ja ke
ye hijr-zad samajhta hai kam visal ki baat
bata jo ramz-o-kinaya hain KHub phaila ke
ki band rahta hai shahr-e-talab ka darwaza
yaqin aaya mujhe bar bar ja aa ke
KHafif ho ke main chehre ko pher leta hun
agar guzarta hai tujh aashna sa katra ke
jawab mera ghalat tha sawal us ka durust
khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke
(937) Peoples Rate This