Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae
qafila utra sahra mein aur pesh wahi manzar aae
rakh uDi KHema-gahon ki KHun mein luThDe sar aae
galiyon mein ghamsan ka ran hai marka dast-ba-dast hai yan
jise bhi KHud par naz bahut ho aangan se bahar aae
ek aaseb sa lahraata hai basti ki shah-rahon par
sham Dhale jo ghar se nikle lauT ke phir nahin ghar aae
dinon mahinon aankhen roin nai ruton ki KHwahish mein
rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae
ek diya raushan rakhna diwar pe chand sitaron sa
abr uThe barish barse ya hawaon ka lashkar aae
warna kis ne par kiya tha rasta bhari dopahron ka
kuchh hum se diwane the jo tai ye masafat kar aae
(955) Peoples Rate This