Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db62f07999afb610830ad3ba294d7fb8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein - Ejaz Gul Poetry In English - Darsaal

Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein

phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein

mushkil hai KHud ko DhunDhna aks-e-tabah mein

jal-bujh chuka hai KHwahish-e-nakaam se wajud

parchhain phir rahi hai makan-e-siyah mein

main wo ajal-nasib ki qatil hun apna-ap

hota hun roz qatl kisi qatl-gah mein

rakkha gaya hun izzat-o-tauqir ka asir

bandha gaya hai sar ko ghurur-e-kulah mein

halkan mein nahin teri KHatir sar-e-hujum

sab mar rahe hain hasrat-e-yak-do-nigah mein

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein In English By Famous Poet Ejaz Gul. Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Phaila Ajab Ghubar Hai Aaina-gah Mein in PDF.