Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f8180f0c2853e21908f0cae523d60de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath - Ejaz Gul Poetry In English - Darsaal

Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath

pechaak-e-umr apne sanwar aaine ke sath

baqi ke chaar din bhi guzar aaine ke sath

hasid bahut hai pal mein huwaida kare KHizan

itna na lag ke baiTh bahaar aaine ke sath

pathra gae hain log tajalli se husn ki

thoDa sa Dal ruKH pe ghubar aaine ke sath

karta hai aks zer-o-zabar na-murad waqt

jab ghumta hai ulTe madar aaine ke sath

paya na kuchh KHala ke siwa aks-e-hairati

guzra tha aar-par hazar aaine ke sath

madum ho rahe hain KHad-o-KHal kis sabab

guft-o-shunid kar mere yar aaine ke sath

viran sa khanDar hai magar sair ke liye

lagti hai ek tawil qatar aaine ke sath

makus o aks kaise hain paiwast dekh tu

aaina kar raha hai singhaar aaine ke sath

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath In English By Famous Poet Ejaz Gul. Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Pechaak-e-umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath in PDF.