Istada Hai Jab Samne Diwar Kahun Kya
istada hai jab samne diwar kahun kya
hasil bhi nahin rauzan-e-darkar kahun kya
lagta to hai kuchh did ko na-did ke pichhe
khulta nahin manzar koi us par kahun kya
hun tang zara jeb se ai hasrat-e-ashya
shamil to hai fahrist mein bazar kahun kya
jis baat ke inkar ka had-darja guman hai
wo baat yaqin ke liye sau bar kahun kya
main un ke jawabaat se aur ahl-e-zamana
hain mere sawalat se bezar kahun kya
jis baat pe thi bahs hui bahs se KHarij
ab rah gai aapas mein hai takrar kahun kya
ham-sae ki ham-sae se pahchan nahin hai
paiwast hai diwar mein diwar kahun kya
ghafil nahin aisa bhi main ab apni rasad se
is dil mein talab ka hai jo ambar kahun kya
gulzar sa khil uThta hai KHushbu-e-suKHan se
jadu hai wo is ka dam-e-guftar kahun kya
hai rang badan ka lughat-e-rang mein napaid
la-sani hai qamat mein qad-e-yar kahun kya
(1039) Peoples Rate This