Galiyon Mein BhaTakna Rah-e-alam Mein Rahna
galiyon mein bhaTakna rah-e-alam mein rahna
yan sab ko hai nakaami-e-yak-gam mein rahna
pahle to bikhar jaana guzargahon ke hamrah
phir hasrat-e-diwar-o-dar-o-baam mein rahna
baghat mein phirna KHas-o-KHashak pahan kar
har silsila-e-sabz ke anjam mein rahna
har sans mein ghulna teri dahliz ki KHushbu
har aankh ka duri ke siyah dam mein rahna
aawaz na aana kisi aabaad makan se
har hath ka yan dastak-e-nakaam mein rahna
kuchh der mein khul jaega basti ka nasiba
kuchh der hai aur saKHti-ayyam mein rahna
'ejaz' bahut din se hai shohrat ka bulawa
tum ho ki wahi qarya-e-gumnam mein rahna
(934) Peoples Rate This