Gali Se Apni UThata Hai Wo Bahane Se
gali se apni uThata hai wo bahane se
main be-KHabar rahun duniya ke aane jaane se
kabhi kabhi to ghanimat hai yaad rafta ki
biTha na roz laga ke use sirhane se
ajib shaKHs tha main bhi bhula nahin paya
kiya na us ne bhi inkar yaad aane se
uTha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki
gira raha hai mere raat din nishane se
koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain
zamana mujh se KHafa aur main zamane se
(743) Peoples Rate This