Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fb87d107836f7784f864e015afe6b71d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai - Ejaz Gul Poetry In English - Darsaal

DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai

DhunDhta hun roz-o-shab kaun se jahan mein hai

ek makan ki raushan sa basti-e-guman mein hai

sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona

tez chalne wala bhi dasht-e-be-aman mein hai

KHush bahut na ho sun kar sahilon ka aawaza

ek fasil pani ki aur darmiyan mein hai

lauTne nahin deta ye tilism raston ka

jaanta hun main warna sukh bahut makan mein hai

raaz kuchh nahin khulta is ajab nagar ka yan

sud mein na tha din bhi raat bhi ziyan mein hai

dekhta nahin hai kya sat aasman wala

kaun dhup ke andar kaun saeban mein hai

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai In English By Famous Poet Ejaz Gul. DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai is written by Ejaz Gul. Read famous Poem DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download DhunDhta Hun Roz-o-shab Kaun Se Jahan Mein Hai in PDF.