Tanhai
subh ka hansta sitara tanha
kaun jaane raat bhar kis karb se guzra hai
in ghane peDon se lambe tez danton wale ifrit nikal kar
TeDhi Tangon bad-numa pairon se komal chandni ke farsh par nache
khurdure hathon se phulon ke jigar chaak kiye
apni nazron ki siyahi se nikharte hue rangon ke charaghon ko bujhaya
apne nafrat-bhare sanson ki bhaDakti hui aatish mein mohabbat ki mahakti
hui sandal ko bhasm kar Dala
subh ka hansta sitara tanha
kaun jaane din bhar ab kis aag ke dariya se guzre
aaftab apni damakti rath mein
shab ke ifriton ko masnad par biThaega
to sachchai ke phulon par bhi moTi dhul jam jaegi
aankhen pathra jaengi
rangon ka tamasha to rahega
bas uD jaegi
koi zahr ka pyala na honTon se lagaega
sitara sham ko apne lahu mein phir nahaega
(710) Peoples Rate This