Katba
kal jo qabristan se lauTa
to tanhai ka ek bojh uTha kar laya
aise lagta tha ki main bujhta diya hun
aur sab log tamashai hain
muntazir hain ki mere bujhne ka manzar dekhen
aise lagta tha ki har gam par khulte dahane hain
mere jism ko aaghosh mein lene ke liye
zindagi dur khaDi hansti rahi
qahqahon ka ek samundar
meri jaanib mauj-dar-mauj baDha
shab ka sannaTa
falak-bos imaraat ke Darbon mein wo hilte hue sae
jaise marghaT ka saman ho
raste nag ki manind dahane khole
kahin footpath pe leTe hue be-jaan se jism
jin pe khambe yun khaDe the
jaise ye katbe gaDe hon
phir achanak wo brakon ki creach
surKH-KHun ka ek fawwara
wo ek kutte ki lash
zindagi ek tilismat-kada
jis ki diwaron ki zinat ke liye
lamhon ki rangi titliyan patthar huin
(764) Peoples Rate This