Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_32750ddf2d8bf619431663f2b6d96b9e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya - Ejaz Asif Poetry In English - Darsaal

Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya

raushni ko tirgi ka qahr ban kar le gaya

aankh mein mahfuz the jitne bhi manzar le gaya

ajnabi sa lag raha hun aaj apne aap ko

aaine ke samne main kis ka paikar le gaya

kyun nazar aati nahin ab kaTi sath-e-ab par

khinch kar naddi ke sar se kaun chadar le gaya

phir hui aamada-e-paikar peDon se hawa

phir koi jhonka kai patte uDa kar le gaya

rokte hi rah gae diwar-o-dar 'asif' mujhe

main magar chup-chap KHud ko ghar se bahar le gaya

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya In English By Famous Poet Ejaz Asif. Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya is written by Ejaz Asif. Read famous Poem Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya for youth and Student by Ejaz Asif. Free Download Raushni Ko Tirgi Ka Qahr Ban Kar Le Gaya in PDF.