Nawed-e-yaum-e-bahaaran KHizan Se Zahir Ho
nawed-e-yaum-e-bahaaran KHizan se zahir ho
misal-e-saut-e-pareshan fughan se zahir ho
tujhe guman hai agar KHud pe lafz-e-raushan ka
rida-e-shabnam-e-ijz-e-bayan se zahir ho
chamak uThe meri aankhon mein ashk ki surat
jo aag dil mein hai raushan zaban se zahir ho
kisi bhi samt se ubhre sitara-e-awaz
nahin ye qaid ki wo aasman se zahir ho
wo kaenat ka KHaliq sahi magar 'asif'
yaqin hai KHud pe use to guman se zahir ho
(804) Peoples Rate This