Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun
har ek shai ki haqiqat se ba-KHabar dekhun
main apni KHak mein pinhan tujhe bhi gar dekhun
ye kya ki hat baDhaun to sang-reze milen
kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun
ho aankh mein kisi chehre ka Dubta manzar
main paniyon mein muqayyad kisi ka ghar dekhun
tamam umr usi sae ki talash karun
ki jis ko dekhna chahun to dar-ba-dar dekhun
nazar ke samne jab ho na koi tere siwa
main teri samt na dekhun to phir kidhar dekhun
hai aarzu yahi 'asif' ki rah-e-zulmat mein
use bhi apni tarah main kabhi niDar dekhun
(733) Peoples Rate This