Muhajir

yahan

kabhi kabhi dhup bhi

zina zina yun utri hai

jaise ajnabi ho

aur mujhe wo log yaad aae hain

jo apne watan se bichhaD gae

muhajir jila-watan

jinhon ne samjha tha ki ajnabi shahr mein maut

kam logon ko aati hai

jo yahan is guman mein aae the

ki aafiyat daim rahegi

tum ne Dhalte sayon ki siyasat se gurez kiya hai

tum dhup se Dare ho

tum ne aankh yun band kar li hai jaise pakki inT hai

mere tumhaare darmiyan ab roz-marra

hamdardiyon ke lafz bhi nahin

(1227) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muhajir In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Muhajir is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Muhajir for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Muhajir in PDF.